Monday 30 September 2013

Gustakh Yaadei'n

guzarata gya waqt.. apni hi dhun mei.. mai rasta bhi thi.. karwa'n bhi hu.. ek aansu chhalak aaya.. us chehre ko dekha jab.. mai dard bhi thi.. suku'n bhi hu guzarata gya waqt.. apni hi dhun mei.. mai rasta bhi thi.. karwa'n bhi hu.. ek aansu chhalak aaya.. us chehre ko dekha jab.. mai dard hu.. suku'n bhi hu Kyo ranjishe kar baithi dil se saanse.. Mai dua bhi thi.. anjaam bhi hu Usey apna kahu k nahi..jiske liye.. Mai sagi bhi thi.. anjaan bhi hu Dua mei asar nhi ab zamaane ki.. Mujhe maalum bhi tha..mai haira'n bhi hu -Pooja.S

No comments:

Post a Comment